Patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
Khud raah bana lega bahta hua pani hai
Phoolon mein ghazal rakhna ye rat ki rani hai
Us mein teri zulfon ki be rabt kahani
Ek zehne pareshan mein wo phool sa chera hai
Patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai
Kyon chandni raaton mein darya pe nahate ho
Soye huye pani mein kya aag lagani hai
Is hoslaye dil par hamne bhi kafan pah.na
Hanskar koi puchhega kya jaan ganwani hai
Rone ka asar dil par rah rah ke badalta hai
Ansoo kabhi shisha hai ansu kabhi pani hai
Ye shabnami lehja hai ahista ghazal padhna
Titli ki kahani hai phoolon ki zabani hai