Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Nariyal ke darkhton ki pagal hawa khul gaye badban lautja lautja

Nariyal ke darkhton ki pagal hawa khul gaye badban lautja lautja
Sanwli sarzamin par main agle baras phool khilne se pahle hi ajaunga

Garamkapdonka sandooqmatkholnawamayaadonkikafoorjaisi mahak
Khoon mein aag ban kar utar jayegi subh tak ye makan khaak hojayega

Laan mein eik bhi beil aisi nahinjo dehati parinde key par baandh Ie
Jangli aam ki jaan lewa mahak jab bulayegi wapas chala jayega

Mere bachpankemandirkiwohmoortidhoopkeasmanpe khadithimagar
Eik dinjab mira gadmukammilhuauska sarabadan barfmein dhans gaya

Anginat kale kale parindon ke par toot kar zardbani ko dhankne lage
Fakhta dhoop key pul pe baithirahi raat ka haath chup chaap badhta gaya
260 Total read