Musafir ke raste badalte rahe
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe
Mire raaston mein uj ala raha
Diye uski ankhon mein jalte rahe
Koi phool sa haath kandhe pe tha
Mire paon sholon pe chalte rahe
Suna hai unhen bhi hawa lag gayi
Hawaon ke jo rukh badalte rahe
Wo kya tha jise hamne thukra diya
Magar umr bhar haath malte rahe
Mohabbat, adavat, wafa, berukhi
Kiraye ke ghar they badalte rahey
Lipat kar chiraghon se wo so gaye
Jo phoolon pe karwat badalte rahey