Miri nazar mein khaak, tere aine pe gard hai
Yeh chand kitna zard hai, yeh raat kitni sard
Kabhi kabhi to yun laga ke ham sabhi masheen hein
Tamaam shehr mein na koi zan na koi mard hai
Khuda ki nazmon ki kitaab saari kaaynat hai
Ghazal key sher ki tarah har eik fard fard hai
Hayaat aaj bhi kaneez hai huzure jabr mein
10 zindagi ko jeet Ie wo zindagi ka mard hai
Use tabarruqe hayat kahke palkon par rakhun
Agar mujhe yaqeen ho ye raste ki gard hai
Wo jinke zikr se ragon mein daudti thin bijliyan
Unhi ka haath ham ne chhooke dekha kitna sard hai