Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Mere saath turn bhi dua karo yun kisi key haq mein bura na ho

Mere saath turn bhi dua karo yun kisi key haq mein bura na ho
Kahin aur ho na ye haadsa koi raste mein juda na ho

Sareshaam thahri hui zamin,jahaan aasman haijhuka hua
Usi mod par mere waste wo chiragh Ie key khada na ho

Meri chhat se raat ki sej tak koi aansuon ki lakeer hai
Zara badhke chand se punchhna, wo isi taraf se gaya na ho

Wo farishte aap talash kariye kahaniyon ki kitaab mein
Jo bura kahe na bura sune, koi shakhs unse khafa na ho

Wo firaaq ho ke wisaal ho Tiri aag mahkegi eik din
Wo gulab ban ke khilega kya, jo chiragh ban key jala na ho
145 Total read