Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Mere dil ki raakh kured mat, use muskura key hawa na de

Mere dil ki raakh kured mat, use muskura key hawa na de
Ye chiragh phir bhi chiragh hai kahin tera haath jala na de

Naye daur key naye khwab hein naye mausamon key gulab hein
Ye mohabbaton key chiragh hein Inhen nafraton ki hawa na de

Zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar key tamaam shab
Tera naam likkha hai ret par koi lehr aake mita na de

Main udaasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jan key mazar par
Na diye jalen meri aankh mein mujhe itni sakht saza na de

Main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon key phool chuna karun
Meri saltanat mira fan rahe mujhe tajo takht khuda na de
429 Total read