Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Koi phool dhoop ki pattiyon mein hare riban se bandha hua

Koi phool dhoop ki pattiyon mein hare riban se bandha hua
Wo ghazal ka Iehja naya naya na kaha hua na suna hua

Kise Ie gayi hai abhi hawa wo waraq tha dil ki kitaab ka
Kahin aansuon se mita hua kahin aansuon se Iikha hua

Kai meel ret ko kaat kar koi moj phool khiia gayi
Koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua

Wahi khat ke jis pe jagah jagah do mahakte honton ke chand they
Kisi bhule bisre se taaq par tahe gard hoga daba hua

Mujhe haadson ne saja saja ke bahut haseen bana diya
Mira dil bhi jaise duIhan ka haath ho menhdiyon se racha hua

Wahi shehr hai wahi raaste wahi ghar hai aur wahi Iaan bhi
Magar us dareeche se punchna "Yodarakht anaar ka kya hua

Mere saath jugnu hain hamsafar magar is sharar ki bisaat kya
Ye chiragh koi chiragh hai na jaia hua na bujha hua
540 Total read