Koi na jaan saka woh kahaan se ayaa tha
Aur usne dhoop se baadal ko kyon milaaya tha
Yeh baat logon ko shaayad pasand aayi nahi
Makaan chhota tha lekin bahut saj aaya tha
Woh ab wahan hain jahan raaste nahi jaate
Main jiske saath yahaan pichhle saal aaya tha
Suna hai uspe chahakne lage parinde bhi
Wo eik pauda jo hamne kabhi lagaaya tha
Chiragh doob gaye Kapkapaaye honton par
Kisi ka haath hamaare labon tak aaya tha
Badan ko chhod key jaana hai aasman ki taraf
Samandaron ne hamein ye sabaq padaaya tha
Tamaam umr mera dam isi dhuen mein ghuta
Wo ek chiraagh tha maine use bujhaaya tha