Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Koi jaata hai yahaan se na koi aata hai

Koi jaata hai yahaan se na koi aata hai
Ye diya apne andhere mein ghuta jaata hai

Sab samajhte hain wohi raat ki qismat hoga
Jo sitaara ki bulandi pe nazar aata hai

Bildingen log nahin hainjo kahin bhaag saken
Roz insaanon ka sailaab badhaa jaata hai

Main isi khoj mein badhta hi chala j aata hun
Kiska aanchal haijo kohsaron par lahrata hai

Meri aankhon mein hai ek abr ka tukda shaayad
Koi mausam ho sareshaam baras jaata hai

De tasalli jo koi aankh chhalak uthti hai
Koi samjhaye to dil aur bhi bhar aata hai

Abr key khet mein bijli ki chamakti hui raah
Jaane walon key liyeRaasta ban jata hai
336 Total read