Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Kise Khabar thi tujhe is tarah sajaaunga

Kise Khabar thi tujhe is tarah sajaaunga
Zamaana dekhega aur mein na dekh paaunga

Hayaat-o-maut firaaq-o-wisaal sab yakjan
Main eik raat mein kitne diye jalaaunga

Pala badaa hun abhi tak inhi andheron mein
Main tez dhoop se kaise nazar milaaunga

Mire mizaj ki ye maadrana fitrat hai
Sawere saari azziyat main bhool jaaunga

Turn eik ped se wabasta ho magar main to
Hawa key saath bahut door door jaaunga

Mira ye ahd hai Main aaj shaam hone tak
Jahaan se rizq likkha hai wahin se laaunga
191 Total read