Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Kabhi yun bhi aa miri ankh mein ke miri nazar ko khabar na ho

Kabhi yun bhi aa miri ankh mein ke miri nazar ko khabar na ho
Mujhe eik raat nawaaz de magar is ke baad sahar na ho

Wo bada raheem 0 kareem hai mujhe ye sifat bhi ata kare
Tujhe bhulne ki dua karun to miri dua mein asar na ho

Mire bazuon mein thaki thaki abhi mahwe khwab hai chandni
Na bhujhe kharabe ki roshni kabhi be chiragh ye ghar na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom keykabhi shab key phool ko choom key
yun hi saath saath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho
364 Total read