Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Is tarah saath nibhna hai dushwaar sa

Is tarah saath nibhna hai dushwaar sa
Tu bhi talwaar sa main bhi talwaar sa

Apna range ghazal uske rukhsaar sa
Dil chamakne laga hai rukhe yaar sa

Ab hai toota sa dil khud se bezar sa
Is haweli mein lagta tha darbaar sa

khubsoorat si pairon mein zanjeer ho
Ghar mein baitha rahun main giraftar sa

Main farishton ki sohbat key layaq nahin
Hamsafar koi hota gunahgaar sa

Gudiya gudde ko becha khareeda gaya
Ghar sajaaya gaya raat bazaar sa

Shaam tak kitne haathon se guzrunga main
Chaye khane mein Urdu key akhbaar sa

Baat kya hai ke mashhoor logon key ghar
Maut ka sog hota hai tyohaar sa

Zeena zeena utarta hua aaina
Uska lehja anokha khanakdaar sa
249 Total read