Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Hawaa mein dhoond rahi thi koi sada mujhko

Hawaa mein dhoond rahi thi koi sada mujhko
Pukaarta hai pahadon ka silsila mujhko

Main aasman-o-zamin ki haden mila deta
Koi sitara agar jhuk key chumta mujhko

Chipak gaye mere talwon se phool sheeshe ke
Zamaana kheench raha tha barahna pa mujhko

Wohshahsawaar badarahm dil tha mere liye
Badha key neza zamin se utha liya mujhko

Makaan khet sabhi aag ki lapet mein they
Sunahri ghaas mein usne chhupa diya mujhko

Dabeez hone lagi sabz kai ki chaadar
Na choom payegi ab sarphiri hawa mujhko

Pilaa key raat ka ras rakchhas banaati thi
Sawere logon se kahti thi dewta mujhko

Tu eik haath mein Ie aag eik me in pani
Tamaam raat hawa mein jala bujha mujhko

Bas eik raat mein sar sabz ye zameen huyi
Mire khuda ne kahan tak bichha diya mujhko
185 Total read