Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Hansi masoom si bachchon ki copy mein ibarat si

Hansi masoom si bachchon ki copy mein ibarat si
Hiran ki peet par baithi parinde ki shararat si

Wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko
Labon pe muskurahat thi magar kaisi hiqarat si

Udasi patjhadon ky sham aude rasta takti
Pahadi par hazaron saal ki koi imarat si

Sajaye baazuon pe baaz wo maidan mein tanha tha
Chamakti thi ye basti dhoop mein taaraz-o-gharat si

Mero aankhon mere honton pe ye kaisi tamazat hay
Kabootar key paron ki reshmi uj Ii haraarat si

Khiia de phool mere baagh mein paighambaronjaisa
Raqam ho jis ki peshani pe ik aayat bashaarat si
186 Total read