Gulon ki tarh ham ne zindagi ko is qadar jaana
Kisi ki zulf mein ik raat sona aur bikhar jaana
Agar aise gaye to zindagi par harf aayega
Hawaon se Iipatna titliyon ko choom kar jaana
Dhunak key rakh diya tha baadion ko jin parindon ne
Unhen kisne sikhaaya apne saaye se bhi dar jaana
Kahaan tak ye diya beemar kamre ki fiza badle
Kabhi turn eik mutthi dhoop in taaqon mein bhar jaana
Isi mein aafiyat hai ghar mein apne chain se baithho
Kisi ki simt jaana ho to raste mein utar jaana