Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Charwaha bhedon ko lekar ghar ghar aaya raat hui

Charwaha bhedon ko lekar ghar ghar aaya raat hui
Tu panchhi dil tera pinjra pinjre mein ja raat hui

Koi hamein haathon pe utha kar bistar mein rakh deta hay
Duniya wale ye kahte hein suraj duba raat hui

Shehr makan dukaano wale sab parde kirnon ne lapete
Khatm hua sab khel tamasha ja ab ghar ja raat hui

Surkh sunehra saafa bandhe shahzada ghode se utra
Kale ghar se kambal odhe jogi nikla raat hui

Shaam key saaye zindan ki deewaren oonchi karne lage
Phool sa dil lohe ke panje mein phir aaya raat hui

Kis ki khatir dhoop ke gajre in shaakhon ne pahne they
Jangal jangal roye meera koi na aya raat hui
188 Total read