Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Chaand ka tukda na sooraj ka numainda hun

Chaand ka tukda na sooraj ka numainda hun
Main na is baat pe naazan hun na sharmindahun

Dafn ho jaayega jo saikdon man mitti mein
Ghaliban main bhi usi shahr ka bashinda hun

Zandagi tu mujhe pahchaan na payi lekin
Log kahte hain ke main tera numainda hun

Phool si qabr sey aksar ye sada aati hai
Koi kahta hai bachaa 10main abhi zinda hun

Tan pe kapde hain qadaamat ki alaamat aur main
Sar barahna yahaan aajane pe sharminda hun

Waaqai is tarah maine kabhi socha hi nahin
Kaun hai apna yahaan kis ke liye zinda hun
205 Total read