Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Apni khoyi huyi jannaten pa gaye zeest key raaste bhulte bhulte

Apni khoyi huyi jannaten pa gaye zeest key raaste bhulte bhulte
Maut ki waadiyon mein kahin kho gaye teri aawaz ko dhundte dhundte

Mast-o-sarshar they koi thokar lagi aasman se zamin par yun ham aagaye
Shakh se phool jaise koi gir pade raq-se awaz par jhumte jhumte

Koi patthar nahin hun ke jis shakl mein mujh ko chaho banaya bigada karo
Bhool jaane ki koshish to ki thi magar yaad turn agaye bhulte bhulte

Ankhen ansu bharipalkenbojhalghani,jaisejhelen bhi honnarm saayebhi hon
Woto kahiye unhen kuchh hansi agayi bach gaye aaj ham dubte dubte

Ab wo gesu nahin hein jo saaya karen ab wo shaane nahin jo sahara banen
Maut ke bazuo turn hi aage badho thak gaye ham aaj ghumte ghumte

Dil meinjo teer hein apne hi teer hein apni zanjeer se paon zanjeer hein
Sang rezon ko ham ne khuda kar diya akhir raat din poojte poojte
192 Total read