Amjad Islam Amjad

4 August 1944 / Sialkot

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai.....

yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai yeh ruke agar
yeh ruke agar to nishaaN mile,
yeh nishaaN mile
k jo faasiloN kii saliib hai
yeh gaRi hui hai kahaaN kahaaN
mere aasmaaN se kidhar gayii tere iltefaat ki kehkashaaN

mire be_Khabar, mire be_nishaaN
yeh ruke agar to pata chale
maiN thaa kis nagar tuu rahaa kahaaN
k zamaaN makaaN ki yeh wusateN
tujhe dekhne ko taras gayiiN
voh mire nasiib ki baarisheN
kisi aur Chhat pe baras gayiiN

mere chaar suu hai ghubaar-e-jaaN,
voh fishaar-e-jaaN,
k Khabar nahiiN mire haath ko mire haath kii
mire Khwaab se tire baam tak
tiri rehguzar ka to zikr kya
nahiiN zaufishaN tera naam tak
haiN dhuaaN dhuaaN mire ustKhwaaN
mere aansuuoN meN bhuje hue mire ustKhwaaN
mire naqsh gar mire naqsh-e-jaaN

isii raig-e-dasht-e-firaaq meN rahe muntazir
tere muntazir...!!!
mere Khawab jin ke fishaar meN
rahi mere haal se beKhabar teri rehguzar
teri rehguzar ke jo naqsh haiN mire haath par.....
magar is balaa ki hai tiirgi
k Khabar nahiiN mere haath ko mere haath ki
voh jo chashm-e-shobadaa saaz thii, woh uThe agar
mere ustKhwaaN meN ho raushni
ussi ek lamha-e-diid meN teri rehguzar...!!
meri tiirah jaaN meN chamak uThe
mere Khawab se tire baam tak,
sabhii manazroN meN damak uThhe
usii ek pal meN ho jaavidaaN
meri arzuu k hai bekaraaN
meri zindagi k hai muKhtasar

yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai, yeh ruke agar.....
323 Total read