tund mai aur aise kam_sin ke liye
saaqiyaa halkii sii laa in ke liye
mujh se ruKhsat ho meraa ahad-e-shabaab
yaa Khudaa rakhanaa naa us din ke liye
hai javaanii Khud javaanii kaa singaar
saadagii gahanaa hai is sin ke liye
sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand
ab ko_ii huur aayegii in ke liye
vasl kaa din aur itanaa muKhtasar
din gine jaate the is din ke liye
saarii duniyaa ke hai.n vo mere sivaa
mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye
laash par ibarat ye kahatii hai 'Ameer'
aaye the duniyaa me.n is din ke liye