sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n
abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n
taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n
yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n
kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n
agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n
tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n
isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n
gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n
yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n