KaTegaa dekhiye din jaane kis azaab ke saath
ki aaj dhuup nahiiN niklii aaftaab ke saath
to phir bataao samandar sadaa ko kyuuN sunte
hamaarii pyaas kaa rishta thaa jab saraab ke saath
(saraab=mirage)
baDii ajiib mahak saath le ke aaii hai
nasiim raat basar kii kisii gulaab ke saath
fizaa meN duur tak marhabaa ke naare haiN
guzarne vaale haiN kuchh log yaaN se Khwaab ke saath
zamiiN terii kashish khiiNchtii rahii hamko
gaye zaruur the kuchh duur maahtaab ke saath