Ahmed Nadeem Qasmi

20 November 1916 - 10 July 2006 / Anga, Khushab / British India

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon

Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon

TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?

Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon

Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon
112 Total read