jii chaahtaa hai falak pe jaauuN
suuraj ko Ghuruub se bachaauuN
bas meraa chale jo gardishoN par
din ko bhii na chaaNd ko bujhaauuN
maiN chhoR ke siidhe raastoN ko
bhaTkii hu'ii nekiyaaN kamaauuN
maiN shab ke musaafiroN kii Khaatir
mash'al na mile to ghar jalaauuN
ash'aar haiN mere istiyaare
aao tumheN aaiine dikhaauuN
yuN baNt ke bikhar ke rah gayaa huuN
har shaKhs meN apnaa aks paauuN
aavaaz jo duuN kisii ke dar par
andar se bhii Khud nikal ke aauuN
ai chaaraa-giraan-e-asr-e-haazir
faulaad kaa dil kahaaN se laauuN
har zabr pe sabr kar rahaa huuN
is tarah kahiiN ujaR na jaauuN
ghar Duub rahe haiN tiirgii meN
qabroN pe magar diye jalaauuN
ronaa bhii tarz-e-guftuguu hai
aaNkheN jo rukeN to lab hilaauuN
Khud to "Nadeem" aazmaayaa
ab mar ke Khudaa ko aazmaauuN