Ahmed Nadeem Qasmi

20 November 1916 - 10 July 2006 / Anga, Khushab / British India

izhaar

Tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai
tuu ne honToN ko larazne se to rokaa hotaa

be-niyaazii se, magar kaaNptii aavaaz ke saath
tuu ne ghabraa ke miraa naam na puuchaa hotaa

tere bas meN thii agar mash'al-e-jazbaat kii lau
tere ruKhsaar meN gulzaar na bhaRkaa hotaa

yuN to mujh se huii sirf aab-o-havaa ki baateN
apne TooTe hue fiqroN ko to parkhaa hotaa

yuuNhii be-waj'h ThiThakney ki zaruurat kyaa thii
dam-e-ruKhsat maiN agar yaad na aayaa hotaa

teraa ghammaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam
dil na sambhlaa, to qadmoN ko sambhaala hota

apne badle miree tasviir nazar aa jaati
tuu ne us vaqt agar aaiinaa dekhaa hotaa

hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa
varnaa kaajal tiree aaNkhoN meN na phailaa hotaa
150 Total read