Ahmed Nadeem Qasmi

20 November 1916 - 10 July 2006 / Anga, Khushab / British India

Andheri raat ko ye mojaza dikhaen ge hum

andheri raat ko ye mojaza dikhaen ge hum
chirag agar na mila, apna dil jalaen ge hum

hamari koh kani ke hein mukhtalif mayar
pahar kaat ke raste naye banaen ge hum

jo dil dukha hai to ye azm bhi mila hai humen
tamam umr kisi ka na dil dukhaen ge hum

bohat nadhal hein sasta to len ge pal do pal
ulajh gaya kahen daman to kyon churaen ge hum

agar hai maut mein kuch lutf, bas to itna hai
ke iss ke baad Khuda ka surag paen ge hum

humen to qbr bhi tanha na kar sake ge Nadeem
ke har taraf se zameen ko qareeb paen ge hum
254 Total read