andaaz huu-ba-huu terii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jhauNkaa havaa kaa thaa
is husn-e-ittefaaq pe luT kar bhii shaad huN
terii razaa jo thii, vo taqaazaa vafaa kaa thaa
dil raakh ho chukaa to chamak aur baRh ga'ii
ye terii yaad thii ke amal kiimiyaa kaa thaa
is rishtaa-e-latiif ke asraar kyaa khuleN
tu saamne thaa aur tassavvur Khudaa kaa thaa
chhup chhup ke rouuN aur sar-e-anjuman haNsuuN
mujh ko ye mashvaraa mere dard-aashnaa kaa thaa
uThThaa ajab tazaad se insaan kaa Khamiir
aadii fanaa kaa thaa to pujaarii baqaa kaa thaa
TuuTaa to kitne aaiinaa-KhaanoN pe zad paRii
aTkaa huaa gale meN jo paththar sadaa kaa thaa
hairaan huN ke daar se kaise bachaa "Nadeem"
vo shakhs to Ghariib-o-Ghayuur intihaa kaa thaa