ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
ko'ii pehchaan hii baaqii nahiiN viiraanoN kii
subh hote hii nikal aate haiN baazaar men log
gaThriyaaN sar pe uthaaye hu'e iimaanoN kii
apnii poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadiim
dhajjiyaaN maaNgte haiN apne gariibaanoN kii
san'ateN phailtii jaatii haiN magar iske saath
sarhadeN tuuTtii jaatii haiN gulistaanoN kii
unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN kii
maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
kis qadar auj pe takriim hai insaanoN kii
terii rahmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijlii ko Khabar detaa hai kaashaanoN kii
abhii takmiil ko pahunchaa nahiiN zehnoN kaa gudaaz
abhii duniyaa ko zaruurat hai Ghazal-KhvaanoN kii