Khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho
Yahan jo phool khiley, woh khila rahey sadiyon
Yahan khiza ko guzarnay ki bhi majaal na ho
Yahan jo sabza ugay woh hamesha sabz rahey
Aur aisa sabz ke jiski koi misaal na ho
Khuda kare ke na khum ho sar-e-waqar-e-watan
Aur uske husn ko tashvishay maosaal na ho
Har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka audhaey kamaal
Koi malool na ho, koi khusta haal na ho
Khuda kare ke mere ek bhi humwatan ke liye,
Hayat jurm na ho zindagi wabaal na ho
Aur khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho