zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n
jaane kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n
kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahii log hame.n aabalaapaa kahate hai.n
ko_ii batalaao ke ik umr kaa bichha.Daa mahabuub
ittefaaqan kahii.n mil jaaye to kyaa kahate hai.n
ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii
Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hai.n
jab talak duur hai tuu terii parastish kar le.n
ham jise chhuu na sake.n us ko Khudaa kahate hai.n
kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz'
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n