Ahmad Faraz

Takhalus] (12 January 1931 - 25 August 2008 / Kohat / Pakistan

Us ne sukuut-e-shab me.n bhii apanaa payaam rakh diyaa

us ne sukuut-e-shab me.n bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa me.n aam thii
mai.n ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hai.n
mai.n ne to sab hisaab-e-jaa.N bar_sar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar me.n hii aise bhale suKhan kahe
mai.n ne to us ke paa.No.n me.n saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii me.n bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar mai.n ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbate.n tujhe
ke maao.N ne tere naam par bachcho.n ka naam rakh diyaa
90 Total read