us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa
Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa
ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa
ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa
ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa
ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa
kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa
kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa
lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa