hu_ii hai shaam to aa.Nkho.n me.n bas gayaa phir tuu
kahaa.N gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu
bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu
merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huu.N
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taa_ir tuu
mai.n jaanataa huu.N ke duniyaa tujhe badal degii
mai.n maanataa huu.N ke aisaa nahii.n bazaahir tuu
ha.Nsii Khushii se bichha.D jaa agar bichha.Danaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu
'Faraz' tuune use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu