ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun
dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun
vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai
log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun
ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun
aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun