Adeem Hashmi

1946 - 05 November 2001 / Faisalabad / Pakistan

Zindagi paon na dhar janib e anjam abhi

zindagi paon na dhar janib e anjam abhi
Mery zimay hain adhory say kai kam abhi

abhi taza hai bht ghao bichar jany ka
ghair laiti hain teri yaad sar e sham abhi

jan dainy main karoon dair yh mumkin hai kahan
mjh tak aya hai meri jaan tera paigham abhi

toor sakta hai mera dil yh zamana kaisy
mary seeny main dharkta hai tera naam abhi

meri narain karen kaisy tery chehry ka tawaf
meri ankhon nay bandhay abhi ihram nahi

yad k abr say ankhain meri bheegi hain adeem
ik dhundluka sa hai bheegi to nahi sham abhi
209 Total read