Ta'alluq Apni Jaga Tujh Se Barqarar Bhi Hai
Magar Ye Kia Ke Teray Qurb Se Faraar Bhi Hai
Kuraid Aur Zameen, Mausamo'n Ke Mut'laashi
Yaheen Kaheen Meri Khoi Hui Bahaar Bhi Hai
Yehi Na Ho Teri Manzil Zara Theher Ay Dil
Wohi Makaan Hai, Dee'on Ki Wohi Qataar Bhi Hai
Yunhi To Rooh Nahi Tor'ti Hisaar-E-Badan
Zarur Apna Koi Baad'lon Ke Paar Bhi Hai
Main Patharo'n Se He Sir Ko Patakh Ke Laut Aaya
Chataan Kehti Rahee Mujh Main Shaah'kaar Bhi Hai
Ye Kia Ke Rok Ke Betha Hua Hoon Sail-E-Hawas
Machaan Per Bhi Hoon Aur Samnay Shikaar Bhi Hai
Chhupa Hua Bhi Hoon Jeenay Ki Aarzu Lekar
Panaah'gah Meri Sher Ki Kachhaar Bhi Hai
Adeem Uss Se Karon Bhi To Kis Tarah Ka Sulook
Hareef Bhi Hai Wo Apna, Wo Apna Yaar Bhi Hai