Shor sa aik, her aik simat bapa lagta hai
Wo khamoshi hai k lamha bhi sada lagta hai
Kitna sakit nazar aata hai hawaon ka badan
Shakh per phool bhi pathraya hua lagta hai
Cheekh uthti hui her ghar se nazar aati hai
Her makan sheher ka aasaib zada lagta hai
ankh her rah se chipki he chali jati hai
Dil ko her morh pe kuch khoya hua lagta hai
Kitna hasid hun k ik tu he mera apna hai
Aor tu theek se hunsta bhi bura lagta hai
Mere ehsas ne sawan mein ganwai hai nazar
Mujh ko sookha hua jungle bhi hara lagta hai
Sochta hun to her insan purani soorat
Dekhta hun to her ik shakhs naya lagta hai
Apna ehsas k rehta hun khandar mein jesay
Sheher apna k zameenon mein daba lagta hai
Dair se dhoondh raha hun faqat ik shab ki panah
Saaf inkar her ik dar pe likha lagta hai
Jaan tu apni kis liye ganwata hai Adeem...
Khoobsoorat hai wo lekin tera kia lagta hai...!!!