Kuch Log Jin Ko Fikr-E-Ziyaan De Dia Gaya
Kuch Wo Hain Jin Ko Sara Jahaan De Dia Gaya
Dil Ki Muhabbaton Ka Bahao Hai Jis Tarah
Darya Hai Jis Ko Aab-E-Rawaan De Dia Gaya
Aankhon Ko Saamnay Ke Ilaaqay Deay Gaye
Dil Ko Chhupa Hua Bhi Jahaan De Dia Gaya
Izhaar-E-Ishq Wo Bhi Baru-E-Sitam'garaan
Koh-E-Garaan Ko Sung-E-Garaan De Dia Gaya
Jesay Haray Shajar Ko Laga Di Gai Ho Aag
Kuch Iss Tarah Ka Dil Ko Dhuaan De Dia Gaya
Bichhray Nahi, Wo Baat Bichharnay Ki Yaad Hai
Ghaa'o Nahi Dia Hai Nishaan De Dia Gaya
Rehta Kisay Adeem Baharon Ka Intezaar
Acha Hua Ke Ehd-E-Khizaan De Dia Gaya
Roz-E-Hisaab Khauf-E-Hisaab Uss Ko Hai Adeem
Wo Jis Ko Fikr-E-Sood-O-Ziyaan De Dia Gaya