Adeem Hashmi

1946 - 05 November 2001 / Faisalabad / Pakistan

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab

kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
tu bhi kuch aur aur hai ham bhi kuch aur aur hain
jane wo tu kidhar gaya jane wo ham kidhar gaye
rahon main hi mile the ham rahen nasib ban gain
tu bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar gaye
wo bhi gubar-e-Khak tha ham bhi gubar-e-khak the
wo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye
koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanwar gaye
tere liye chale the ham tere liye thehar gaye
tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gaye
waqt hi kuch judai ka itna tavil ho gaya
dil men tere firaq ke jitne the zaKhm bhar gaye
barish-e-vasl wo hui sara gubar dhul gaya
wo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye
itne qarib ho gaye itne raqib ho gaye
wo bhi "Adeem" dar gaya ham bhi "Adeem" dar gaye
244 Total read