Jab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Main
Her Tarah Ka Husn Dekha Uss Ke Khad-O-Khaal Main
Chal Rahi Hai Ye Zameen Zandaa'n Ki Chakki Ki Tarah
Piss Rahay Hain Log Kia Kia Iss Ke Maah-O-Saal Main
Misl-E-Maahi Waqt Ke Haathon Se Phisli To Buhat
Phans Gai Aaker Jawani Jhurrion Ke Jaal Main
Inteha'on Per Rahay Hum Darmiaan Thehray Nahi
Aasmaan Ki Auj Per Ya Gir Gaye Pataal Main
Ye Bhi Kia Insaaf Hai Ay Munsif-E-Wasl-O-Firaaq
Uss Ki Aadhi Bhi Jhalak Dekhi Na Pooray Saal Main
Ibtida Se Hashr Tak Sab Teen Pinj'ron Main Hain Qaid
Koi Maazi, Koi Mustaqbil Main, Koi Haal Main
Teen Sau PainsaTh (365) Dareechay Waqf Sooraj Ke Leay
Chaand Ki Khatir Bani Baara'dari Her Saal Main
Mainay Socha Tha Kisi Ko Main Dhoka Doon Adeem
Shakl Apni He Nazar Aai Sabhi Ashkaal Main