Adeem Hashmi

1946 - 05 November 2001 / Faisalabad / Pakistan

Jab Bayaan Karo Ge Tum Hum Bayaan Main Niklain Ge

Jab Bayaan Karo Ge Tum Hum Bayaan Main Niklain Ge
Hum He Dastaan Ban Ker Dastaan Main Niklain Ge

Ishq Ho Muhabbat Ho Pyaar Ho K Chaahat Ho
Hum To Her Samander Ke Dermiaan Main Niklain Ge

Raat Ka Andhera He Raat Main Nahi Hota
Chaand Aur Sitaaray Bhi Aasmaan Main Niklain Ge

Dekh To Kabhi Shab Ko Kaarwaan Sitaron Ka
Noor Ke Kaee Mehmil Kehkashaan Main Niklain Ge

Boliaan Zamanay Ki Mukhtalif To Hoti Hain
Lafz Pyaar Ke Lekin Her Zubaan Main Niklain Ge

Kaat Ker Badan Saara Qaash Qaash Main Jhaankain
Aap Ke Heole He Qalb-O-Jaan Main Niklain Ge

Khaak Ka Samander Bhi Kia Ajab Samander Hai
Iss Jahaan Main Doobain Ge Uss Jahaan Main Niklain Ge

Qissa-E-Sukhan'goii Jab Adeem Aye Ga
Hum Bhi Waaqia Ban Ker Dastaan Main Niklain Ge

Sirf Sabz Pattay He Pe'rr Per Nahi Hotay
Kuch Na Kuch Parinday Bhi Aashiaan Main Niklain Ge
107 Total read