Adeem Hashmi

1946 - 05 November 2001 / Faisalabad / Pakistan

Gham Ke Her Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Ker Gaya

Gham Ke Her Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Ker Gaya
Wo Mera Mohsin Mujhe Pathar Se Heera Ker Gaya

Ghoorta Tha Main Faza Main To Sajee Theen Mehfilain
Mera Aankhon Ka Jhapakna Mujh Ko Tanha Ker Gaya

Her Taraf Urnay Laga Tareek Saayon Ka Ghubaar
Shaam Ka Jhonka Chamakta Sheher Maila Ker Gaya

Chaat Li Kirno'n Ne Meray Jism Ki Saari Mithaas
Main Samander Tha Wo Suraj Mujh Ko Sehra Ker Gaya

Aik Lamhay Main Bharay Bazaar Soonay Ho Gaye
Aik Chehra Sab Puranay Zakhm Taaza Ker Gaya

Main Usi Ke Raabtay Main Jis Tarha Malboos Tha
Yuun Wo Daaman Kheech Ker Mujh Ko Bareh'na Ker Gaya

Raat Bhar Hum Roshni Ki Aas Main Jaagay Adeem
Aur Din Aaya To Aankhon Main Andhera Ker Gaya
103 Total read