Adeem Hashmi

1946 - 05 November 2001 / Faisalabad / Pakistan

Darya Se Koh'saar Se Pehle Ki Baat Hai

Darya Se Koh'saar Se Pehle Ki Baat Hai
Insaan Her Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai

Nafrat Se Aur Pyar Se Pehle Ki Baat Hai
Ye Tujh Pe Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai

Jumbish Thi Aankh Main Bhi Badan Main Bhi Rooh Thi
Ye Baat Intezaar Se Pehle Ki Baat Hai

Dil Meray Ikhtiaar Main Hota To Tha Magar
Ye Teray Ikhtiaar Se Pehle Ki Baat Hai

Jab Dil Pe n Eel Ban Ke Dikhi Theen Na Khuahishain
Ye Tujh Sitam Shuaar Se Pehle Ki Baat Hai

Kuch Saar'baan Thay Aur Jaras Ki Sadaa Bhi Thi
Ye Baad-e-Reigzaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Kaarwaan Aur Aik Tha Mehmil Bhi Darmiaan
Ye Raah Ke Ghubaar Se Pehle Ki Baat Hai

Wo Aah-E-Dil'shagaaf Adeem Aur Wo Tarap
Ye Dard Ke Khumaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Dard Tha Kisi Ki Nishani Dia Hua
Lekin Ye Teray Pyaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Aashiaan Tha Uss Main Parinday Bhi Thay Adeem
Ye Mausam-e-Bahaar Se Pehle Ki Baat Hai
126 Total read