Shaayad abhii hai raakh me.n koii sharaar bhii,
kyo.n varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii,
dhyaan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad kaa,
milne ko mil gayaa hai sukuu.N bhii qaraar bhii,
ab Dhuu.NDhane chale ho musaafir ko dosto,
hadd-e-nigaah tak na rahaa jab Ghubaar bhii,
har aastaa.N pe naasiyaa farsaa hai.n aaj vo,
jo kal na kar sake the teraa intazaar bhii,
ik raah ruk gaii to ThiThak kyo.n gaii 'Ada',
aabaad bastiyaa.N hai.n pahaa.Do.n ke paar bhii.