roz aik Khavaab Khariidaa hai kisii manzar se
roz TuuTaa huuN bahut duur kahiiN andar se
vo janaazah bhii nahiiN hai ke kahiiN dafnaa duuN
mere kandhoN kaa ajab rishtaa hai mere ghar se
naye mausam kii tarah log badal jaate haiN
muKhtalif maiN hii huuN abhii zamaane bhar se
in dinoN maiN bhii anal-haq saa basar hotaa huuN
phuul bhii pheNke kisii ne to lage patthar se